Aajao sab

Multiple persona, multiple problems:

Type A) Prepping for IAS exam. Study me sab time dala college ke dino me, didn't clear the post. Wo time pe sab log ne IT me stick kiya abhi life set karke insta-pro life ji rahe hai. I'm 26 now and it feels like I fell off the wagon. Study abhi bhi karta hu but less social connections ki wajah se left out feel hota hai.

Type B) Jab mere contemporary log Bollywood cringe dekhte aur Arijit sunte the tab me Amit Trivedi, Sneha Khanwilkar, Rahman ke technical songs sunta tha. Roger Ebert, rotten tomatoes, the cinema holic ke movies dekhta tha. Hip hop ka India me koi scene nahi tha tab underground lyrical artists, Kanye, Nas, Biggie, Pac ke gane sunta tha. Rock me bhot time Pink Floyd, Eagles, RHCP, Nirvana suna. Books me hamesha non fiction pe man laga, romance ke nam pe lahsun bhi nai padha. Jis bhi ladki se baat hoti hai, wo mere interests se match nahi karti aur use pe attitude wala brown angrez lagta hu. Circle expand karne ke liye na abhi job hai na koi college baki hai.

Type C) Idea of love me security, trust, confidence par jyada focus rehta hai. Family, career responsibilities, aur apna individual liberty. Dating apps pe gaya to bc aisa lagta hai ye sab log prateek kuhad ke vids ya MTV shows ke rejected junior artists hai. Which defines cool for a good chunk of world. Aur mera 70s ka love foundation idea kabhi kisi ko jamega nai aur me single hi reh jaunga. Wo alag loneliness hai. Metro life se jyada peripheral life prefer karta hu. Cz wohi basic foundational aspects, fresh air, organic food, peaceful life, etc. Aur sari gaon ki ladkiyo ko to Vasai me rehna hai but Mumbaikar kehlana hai khud ko. :/

Koi bhi ek pe apna gyaan chodo bhaiyo.

Kuch log wonder kar rahe honge. How do I cope? Vipassana karta hu, amature music banata hu, general reading aur house chores me help karta hu. Occupied nai rehta hu tab muze unprepared dekh ke ye upar wale demons attack kar dete hai.

/r/bakchodi Thread Link - i.redd.it