What songs make you emotional everytime when you listen to them and why?

O ri duniya o ri duniyaa aye o ri duniya aye Surmayee aankhon ke Pyaalo ki duniya o duniya Surmayee aankhon ke Pyaalo ki duniya o duniya Satrangi rangon Gulaalon ki duniya o duniya Satrangee rango Gulalon ki duniya o duniya

O world, O dear world, O world of cups of kohl-lined eyes (from which one can drink), O world of rainbow-colored colors and Gulaals..

alsaayi Sejon ke Phoolon ki duniya o duniya re angdaayi tode kabootar ki duniya o duniya re aye karwat Le Soyi haqeeqat ki duniya o duniya deewani hoti tabiyat ki duniya o duniya khwahish mein Lipti Zaroorat ki duniya o duniya re hey Insaan ke Sapno ki Neeyat ki duniya o duniya o ri duniya o ri duniya.. o ri duniya o ri duniya.. Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai

it's a world of flowers decorating sleepy beds (for the wedding night), it's a world of lazy-stretching pigeon.. it's a world of truth sleeping (calmly) by its side, and a world of a temperament going mad.. it's a world of needs wrapped with wishes, it's a world of humans' dreams and their intentions.. World, o world, what's there (to celebrate) even if one gets this world.. what's there even if one gets this world.. what's there.. (there is nothing in this world that is worth)..

mamta ki bikhri kahaani ki duniya o duniya behno ki Siski jawaani ki duniya o duniya aadam ke hawwa se rishte ki duniya o duniya re hey Shayar ke Pheeke Lafzon ki duniya o duniya

The world of stories of (mothers') shredded love, The world of sisters' sobbing youth, A world of the relation of Adam and Eve, World of uninspiring words of poets..

Ghalib ke momin ke khwabon ki duniya majazo ke Un Inqalabon ki duniya Faiz-e-firaq-o-Sahir-o-Makhdoom-Mir ki Zauq ki Daaghon ki duniya

The world of Ghalib and Momin's dreams, the world of those revolutions of poets like Majaz (Lakhnawi), World of Faiz (Ahmed Faiz), Firaaq (Gorakhpuri), Sahir (Ludhiyanvi), Makhdoom (Mohiuddin), Mir (Taqi Mir), (Mohd Ibrahim) Zauq, and Daagh (Dehlvi).. [All these were poets known for their revolutionary moods, in different times]

Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai

Pal chhin mein baatein chali jaati hain Pal chhin mein raatein chali jaati hain reh jaata hai jo savera Wo dhoondhe jalte makaan mein basera Wo dhoondhe jaisi bachi hai Waisi ki Waisi, bacha Lo Ye duniya apna Samajh ke apno ki jaisi Utha Lo Ye duniya chhitput Si baaton mein jalne Lagegi, Sambhalo Yeh duniya kat-pit ke raaton mein Palne Lagegi, Sambhalo Yeh duniya

Within moments, things move on, within moments, nights go (as in, everything goes in a matter of moments) the one who remains, looks for the morning, looks for a place to live in the burning house.. Save this world, whatever is remaining in here, as it is, Think of it as your own, and pick it up (in your arms, to protect it), (else) it'll start burning in small-unimportant things, save this world, it'll be cut-bruised-beaten and will be living in nights (dark times), save this world..

o ri duniya o ri duniya Wo kahen hain ki duniya ye itni nahi hai Sitaaro Se aage jahan aur bhi hai Yeh hum hi Nahi hai Wahan aur bhi hai hamari har ek baat hoti Wahin hai hume aitraaz Nahi hai kahin bhi Wo aalim hain, faazil hai, honge Sahi bhi

O world, dear world, They say that the world is not this much (only), there are more world beyond the stars, It's not just us, there is Someone Else too (talking of God here) everything about us is decided there only, (and) we don't have an objection to that anywhere, They're knowledgeable, virtuous, would be correct too,

magar falsafa Yeh bigad jaata hai jo Wo kehte hain aalim Yeh kehta Wahan Ishwar hai faazil Yeh kehta Wahan Allah hai kaamil Yeh kehta Wahan Isa hai manzil Yeh kehti tab Insaan Se ki tumhari hai tum hi Sambhalo Yeh duniya Yeh bujhte hue chand baasi charago tumhare Yeh kaale Iraado ki duniya

but this philisophy goes bad, when they say- The Intelligent says there is Eeshwar (Hindu God) The Virtuous says there is Allah, The Perfect one says there is Jesus, Then the destination says to the man, that- this world is yours, you only take care of it! This world of a few old, dying lamps, world of your dark intentions...

o ri duniya o ri duniya o ri duniya

/r/india Thread